jo baithun kabhi akele to mann mein ek sailaab sa uthta hai..
hain sawaal itne, na jaane jawab kaha chupa hai.
jo chalun kabhi tanha to lage ki raah kabhi na ho khatm..
to lage kabhi ho raah ka jaldi anjaam aur manzil mile humdum.
Jo hai haasil vo lagti nahi ki manzil hai meri..
aur jo hai manzil kya vo kabhi hathon mei hogi mere??
Koi to ho paas jo jeet pe thapthapaye meri peeth..
aur jab mile mujhe haar to sehlaye mujhe aur samjhaye haarne ki reet.
Kyu kabhi hum gairo ko de dete hain itna parwaan..
ki apno ki khubiya ho jaati hain ojhal aur nazar nahi aate unke armaan..
Jo baithun kabhi akele to dhundhu mai khudko...
kahan kho gayi vo mai na pehchanu ab khud ko.
Armano ki lehre uthti hain mann mein harazo kayi..
lekin aata hai ek jhoka aur fir dikhte hain bas kinare vahi...
Jab dekhun us khule aasman mei udte parindo ko,
ji chahe duniya naap lun unki tarah...
Phir dil karta hai sawaal kya hai udne ka utna hausla aur kuwat itni udaan ki???
Kabhi lage itne hain raaste ki chunna hai mushkil
kabhi lage hai ek akeli pagdandi jiska koi vajood nahi mustakil.
Kabhi dil kare tod lun saari khusiya ek hi jhatke mei..
phir lage zindagi hoti itni meharbaan to gham hota hi kyu duniya mein?
Kabhi baithun jo tanha to karun sawaal kyu hai sab itna uljha sa..
koi to hoga tarika suljha sakun sab kuch aur ho sab hasin sa.
Ye zindagi ke tarike hi hain kuch alag se..
Jitna karo samajhne ki koshish utna hi lage namumkin sa.
Jo baithun kabhi akele to mann mei ek sailaab sa uthta hai...
hain sawwal itne, na jaane jawaab kahan chupa hai.
No comments:
Post a Comment