Barso se tha jiska intezar..
vo thi ab haqekat..
aane se uske,jhoom rhe the mere din..
raat gaa rhi thi koi malhar..
Kuch aisa hi tha mera pehla pyar..
Tareef me uski do lafz shayad hi mei keh pau..
Khuda ki uss nakkashi se nazar hi na hata pau..
Uske un do naino me doob kr jannat ka sukh me pau..
Pehle pyar ke uss ehsaas ko kabhi bhula na pau..
Haatho me hath daal chal rahe hai..
Liye dil me aramaan anek hai..
Khub apsaraye rehti yaha hai..
Par mere pehle pyar jaisa sirf ek hai..
Tu thi abhi tak sirf khwaabo me..
Uttar ke sapno se tune mujhe tofha de diya..
Jo zindagi guzar rhi thi kaato ki raah se..
Waha tere aane se pehle pyar ka guldasta khil gya..
Chaand ko tod lane ka vaada krte hai..
Chaandani k saayei me aashiqi krte hai..
Un baware aashiqo ko kya pta hai..
ki har amavasya ko,
Mere chaand ka noor peene dharti pe aata unka chaand hai..
Nadiya ghum kr aati pura nagar hai..
Par jab aati h sagar se milan ki bela,
Uski har lehar me uffan aur ullas hai..
Kuch waisa haal-e-dil mera hai..
Kyuki hua mjhe PEHLA PYAR hai..
No comments:
Post a Comment