Friday, July 15, 2011

Phir Mohabatt

Baware mann ko keh ke phir mohabatt kar le,
Apni zindagi ko naya haseen mod de de,
Gardish me to anjaam Ranjhe ka bi hua tha,
par Heer ki beintehaa chahat se vo himmatzada tha,

Jo chahe to ban jaye mohabatt se duniya haseen,
To ho sakta hai zara si galatfahmi kar de sab gumgeen,
Gharonde ki yaad to us nazuk panchhi ko bi,
saat samander se wapis le aati h,
us WOH ki aagosh hi tera ghar hai ae dost,
usi me zindagi teri samati h,

Haal-e-dil chhupa nahi hai kisi se tera,
Maan le kehna yeh mera,
Baware mann ko keh ke phir mohabatt kar le,
Apni zindagi ko phir se wahi haseen mod de de....