Wednesday, August 3, 2011

Ek pyara dost tumhara....

Log aksar gam bhulate hain sharab ka sahara lekar,
wo ruth kar chale gaye dil-e-chain hamara lekar..
hamne socha pi jaye ham bhi dard usi sharab ke sahare,
yu to jeena mushkil hoga hamara bin tumhare..
palat ke dekhu to aankhon mein chamak si aati hai,
fir achanak ye aankhein yu hi nam ho jati hain..
jo the sabse kareeb ab wo hi ho gaye door,
ham hain ab akele besahara aur majboor..
na hai wohi sama na hai wohi daur,
hamare toote hue dil pe kisne kiya tha gaur??
na thama hath kisine na pas tha koi,
kya kahen janab us waqt ye ruh kitna royi..
pal pal dam todta raha ye zakhmi dil hamara,
aur mar gaya us waqt ek pyara dost tumhara..
bahut karte hain koshish par wo zakhm bharte nahi,
hota koi sath us waqt to ham pal pal marte nahi..
tha us waqt tumhe kisi aur ka sahara,
khush the tum isliye hamne kar liya kinara..
tha mere zehen mein har pal khayal tera,
par iss kadar toone dil tod diya mera..
ki ab chahte hue bhi ham wapas aa nahi sakte,
kaise guzri wo raatein andheri ham bata nahi sakte..
bas yahi kahenge ki pal pal dam todta raha ye zakhmi dil hamara,
aur mar gaya us waqt ek pyara dost tumhara..

2 comments: