Sunday, December 26, 2010

Deewangee

Jo woh kehna chahein, toh hum sunte nahi thakenge.
Jo woh sun na chahein, toh hum kehte nahi thakenge.
Jo woh guzarish karein, toh usse hukm manenge.
Unki hasratein poori karne mein zindagi bita denge.
Hame pata hai ki hamara junoon hame barbaad kar daalega kabhi,
Par unke bina aabaad hona bhi maut se kam nahi......

Saturday, December 25, 2010

Congratulations TCS MOHIT....

Yun to ho sakti hai har khushi lafzon mei bayan..
Lekin aaj is khushi ne kar diya hai lafzon ko fanaa..
Aaj bharose ko mili hai hakikat aur teri mehnat ne paa li manzil..
Aur badh gaya hai mera gurur tujh par ,jash-e-noor hogi aaj yaron ki mehfil.
Kar liya hai aaj tune kila fateh..
Uncle aunty ke dil mei hogi yakinan aaj khushyon ki subah.
Bas chale agar mera to daud kar abhi aa jaun..
Ji lun mai bhi ye anmol lamhe aur tere sang gaaun.
Samet le aaj khushiya saari aur bikher apni muskaan pyari..
Khuda kare tu yun hi muskurata rahe..
Kamyaabi chume tere kadam aur tera naam yun hi jagmagata rahe.

Saturday, November 27, 2010

Khamoshi..

Jise kehte hain khamoshi...
kabhi hai majburi to kabhi hai khushi..
samete hue apne mein kayi maayne..
kabhi chupa le raaz to kabhi dikha de sach ke aayne.
Hai khamosh vo maa jiska chirag hua hai abhi roshan..
to hai khamosh vo mamta bhi jiska sipahi hua hai dafan.
Hain lab aaj ye chup is intezaar mein ki koi humein samajh paye..
Kya hai koi jo meri aankhon ko bas yun hi padh paye??
Vo khilkhilati khamoshi kar rahi hai khushi ko zahir..
To kahin hai vo dard ko chupane mein mahir.

Ye zaruri to nahi har baat lafzon mei piroyi jaye..
Hain ehsas agar zinda to khamoshi baaton se zyada keh jaye.
Ho sakta hai tere aaspas bhi koi khamosh..
Tu thaam le haath uska aur de usko apna aagosh.
Jo khushi hai khamosh usko tu jaga de..
Jo dard hai khamosh aaj usey tu baha de.
Na samajhna kisi ki khamoshi ko uski majboori..
Vo hai uske sabr ka takatvar giri.

Hai ismei vo takat kar de mazboot rishton ko juda..
Hai ye vo ibadat jo doori pe diyale ahmiyat ka ehsaas.
Padh sake to padh le us khamoshi ka raaz..
Jagmaga de khushi ya baat le gham aaj.
Hai kitni khamosh ye khamoshi...
Kabhi hai majboori to kabhi hai khushi...

Wednesday, November 3, 2010

Tadap

Bheed mein bhi yeh aankhein unhe dhoondh leti hain,

Unki aahat ko yeh dhadkanein mehsoos kar leti hain.

Na jaane kyun unke didar ki ek aas rehti hai,

Aur na milne par yeh  rooh bhi saath chod deti hai.

Chahte hain ki unhe keh de ki ab ye bechainiyaan sahi nahi jaati,

Aur ek toote dil se kabhi zindagi kaati nahi jaati............

Tuesday, November 2, 2010

Husn

Teri ghaneri julf...ghayal kar deti h...
Teri mitthi si muskaan...pagal kar deti h...
Teri har adaa...madhosh kar deti h...
Teri tirchhi nazar...deewana kar deti h...
Teri vo chaal...bekaabu kar deti h...

Hamara bhi isme dosh kahan..
Yeh to upar wale ka kasoor h..
Jisne ek hisse me tera husn banaya h..
Aur dusre me yeh poora jahan..

Tuesday, October 26, 2010

Waqt ki karwat...

Kya karne aaye the, kin baaton mein phas kar reh gaye hain..
dekhne the naye sapne, haqiqat se ab joojh rahe hain...
Yaad hai vo ghar se bahar ek nayi duniya mein kadam rakhne ka din..
Jab thoda darr aur bahut umang thi mann mein karne ka apna sapna mumkin..
Chod aaye hum vo galiya aur hue ek nayi duniya se rubaroo...
Mile bahuton se jinke dil mein thi hamare jaisi hi aarzoo...
Lagne lagi thi ek anjaani si jagah apni si..
bane jab dost to hui thi tasalli si...

vo college ka pehla saal yaadgar rahega..
Ajnabi ho kar bhi kyu tha ek apnapan ye shayad ek raaz rahega..
Jaise guzarta gaya waqt dhund si chaane lagi..
Hue darwaze band aur tanhaiyan muskurane lagin...
Kyu ho gaye hain hum itne khud mein gumshuda...
ki jinhe kehte the dost unka gham bhi baatna bhool gaye..
yu lagta hai kisi ki khushi mein khush hue ab logo ko zamane beet gaye..


Kyu aati nahi nazar kisi ke chehre par sachchi muskurahat???
Aur jab dikhta hai apnapan to lagta hai hui hai matlab ki aahat..
kyu baandh liya hai humne khud ko itna..
ki do kadam ka faasla ban gaya hai meelon jitna...
Kya yaad hai kab aakhri baar yun hi bin matlab doston k saath muskuraye the??
Kab baithe the saath aur baaton mein ghante bitaye the...

Hain aaj jab saath tab bhi tanha hain sab..
jab tanhai hogi sirf saathi, to kiska haath thamoge tab??
Shayad nahi ehsaas abhi kya kho rahe hain hum..
Kuch laut kar na aane wale hasin palo ko yu hi gawa rahe hain hum..
Jab na hoga waqt aur saathi to tamanna hogi in palon ko vapas paane ki..
Lekin fitrat nahi beete hue waqt ki laut ke aane ki..
sanjo lo in palon ko yaaro!! ye na milenge phir dubara..
Na reh jaye afsoos phir ki ye waqt kyu na humne sawara...



Saturday, October 9, 2010

True Love

Pehle hum toh aise na the..
Par tumse milne ke baad,badle hamare andaaz the..

Pehle to saans lena bhi yaad rehta tha..
Ab to khud ke ghar ka pata na yaad tha..

Pehle chaand-sitaaro ka noor peete the..
Ab lagta hai teri aankhoo ke aage woh feeke the..

Pehle zindagi band kamre me, ek qaidi thi..
Ab teri aagosh me khuli kitaab jaisi thi..

Pehle zinda rehna ek sajaa thi..
Ab tu hi zinda rehne ki vajah thi..

Pehle hum toh aise na the..
Pehle hum toh aise na the..

Wednesday, October 6, 2010

A Pool Of Memories- EPISTEMICO'10

Long college hours, scorching heat and mundane schedule..
We needed a change to add some magic to the boring 7 to 1 study module...
The news of college fest filled in the air..
It was a reason to be excited as it woke us up to cheer...
The committees were formed and coordinators all set to carry it on..
One amongst them was the name Tanzeel khan..
Responsibility, trust, team work and fun..
Epistemico was all in one.

The doors of auditions were fled open..
Talent, creativity, enthusiasm, all came in summation..
Being on the other side of the table was definitely a tough job..
Some supported, while others revolted...
But my co-coordinators stood with me at every start stop..
The preparations commenced and even 24 hrs dint seem long..
The sun felt friendly and 7 to 8 schedule prolonged..
The team work was learning+fun..
The practices for F.P were taken seriously by none.

The participation and coordination was sometimes difficult to handle..
but engineering teaches us to manage all just like a child in a cradle..
The fest brought seniors and juniors into a healthy relationship..
leg pulling, sharing, caring tied us into a new bond of friendship..
Finally the most awaited days had knocked in..
The 4 fun packed days were definitely going to be rocking!!

When the curtains of the stage were drawn off and talent pool of GWECA was showcased..
The air was filled with cheers and every performance was highly praised..
let it be dance,song, skit, presentation or treasure hunt process...
hard work of teachers n students won every single event a grand success..
there was some magical aura in the campus for the entire month..
Every student was proud to be a part of GWECA on earth..

Although the span of fest was short, but it brought many lessons with it..
Time management and team work were major in it..
Sometimes even the closest of pals can bring you tears..
But there are always people to stand by you n make you cheer.
Difficulties will always stand in your way...
But sincerity and smile will fade them all away.
This time will come and we will definitely rock..
we will miss all this when we walk out of the campus into a different block...

Looking back to these times will make us smile..
And at times make our eyes wet for a while..
Where ever we go, the memories will be etched in our hearts forever..
Some things we may forget...but the fest time we will never...







ZINDAGI KE DORAHE PAR (Pt-2)

Maine pochcha sitaare se- kaise ho sir??
Woh bola..Subah nikalu to suraj pighla de...
Raat ko aau to chaand ka noor chhipa de...
Apne vajood ke liye badne laga tha uske mann ka darr..
Khada tha woh sitaara zindagi ke dorahe par....

Akela khada ped kar rha tha bayaan apna manjar..
Basant ne naya jeevan diya..
Patjhar ne jhakjor diya..
Naye patto ki khushi banaye..ya jane walo k liye kabar..
Khada tha woh ped zindagi ke dorahe par..

Sadak pe besudh ro rha tha ek patthar..
Makbare me chuna jauga..
Ya mandir me pooja jauga..
Isi jaddojehad me kat rhi thi uski shamo sehar..
Khada tha woh patthar zindagi ke dorahe par..

Tere bin kaise kategi yh kaanto bhari dagar..
Jaante h,aaye the akele aur jana bhi h akele..
Par ab kiske liye saans le...
Zindagi ban gyi meri sifar..
Khada hu mein zindagi ke dorahe par..

Jana us sitaare,ped aur patthar ke mann ka darr..
Kyuki ab mein khada hu zindagi k dorahe par..

Tuesday, October 5, 2010

Jab hum is mehfil aaye the, tab humse sab anjaan the.
Us waqt hum bhi mante khud ko bejaan the.
Mehfil mein haseenayein bhi thi par hamare darmiyaan kaante bahut the.
Aur khud ko auron se alag maan, hum bechain bahut the.

Jab hum laut kar, is mehfil mein aaye,
Toh dekha humari bhi ek pehchaan thi.
Hamaare siwa har ek shaksiat aaj bejaan thi.
Haseenayein bhi wahi thi, aur kaante kuchle pade the.
Kya ye wahi mehfil hai jahaan kabhi hum akele khade the?

zindagi ke dorahe par...

Aaj phir khada hua paya khud ko zindagi ke dorahe par..
phir se hai sawal kahan jana hai in anjaani rahon par..
Thi tasalli mann mein aur sukoonbaksh tha dil kuch palo k liye..
lekin reh reh kar fikr uthti hai aage ke safar k liye..

Lagta nahi zindagi kabhi sukkon payegi..
"ab aage kya"?? hamesha is sawaal ko dohrayegi..
Hai waqt bahut kam aur karna hai bahut kuch haasil..
Dar lagta hai is jaddojehad mein kho na jaye kahin apno ki mehfil..
Hai zaruri khud ko karna saabit is zamane mein har mod pe..
kar le yakin apni mehnat aur kismat ke meljol pe..

Beshak har insaan mein hai nayaab kuwat..
sahi waqt par ise samajhna hai sabse badi zarurat..
Aye khuda dena taufeeq karne ki sahi raah par amal..
taki hum kar sake apne khwabon ko mukammal..

kabhi lagta hai choo lenge aasma aur likh denge naam har sitare par...
lekin kashmakash mein ghir jaate hain zindagi ke dorahe par..
zindagi ke dorahe par...

Monday, October 4, 2010

Selfish world..pt 2

In this uncaring world there are some creatures who care..
You can laugh with them and sorrows you can share...
They are called FRIENDS and no doubt they are few..
But look around and you ll find them as dew...
You dont hold a corner but rule their hearts...
And they ll sue you if u dare to get apart.
The world is selfish...that is true..
But friendship is a treasure to carry it all through..
In this busy life they may get blur for a while..
But remember they ll always pray for your smile.
Laugh to the full, live and share..
This selfish world still gives a reason to cheer :)


selfish world

In this cannibal world where nobody cares none,
like me there are hundreds who feel he is the forgotten one.

where to go where to live no place for me to hide,
in dis huge world not even a corner in a side.

so i have decided,
well that's to be guided.
to go to an unending journey,
where there is no use of money,
and everywhere is HARMONY....

Sunday, October 3, 2010

DARD-E-DIL (Pt-3)

Uss khaas ke liye zamana chhod diya..
Na tha ab bairiyo se koi gilla,

Uska har dard maine bhi jiya..
Magar ant me dard-e-dil hi mjhe mila,

Raatein kaali rhne lagi,humne koi chirag roshan na kiya..
Meri sacchi ibaadat ka tune, yhi diya silla,

Unhe fir paane ka, har rasta maine aazmaa liya..
Magar ant me dard-e-dil hi mjhe mila,

Tanhaa raaton me,maine aansuuo ka pyala piya..
Laga di poori kainat ki taakat,fateh na kar paaya uske dil ka qila,

Uska har dard maine bhi tha jiya..
Magar ant me dard-e-dil sirf mjhe hi mila,
Sirf mjhe hi mila....

Saturday, October 2, 2010

dard-e-dil...pt 2

Tere dil ki bechaini ko baatne wale hain tere apne kai..
Zara dil pe haath rakh kar pooch,
kya unhone tera dard pehchana nahi!!
Vo sachcha pyar hi kya jo teri chamak na dekh saka..
Na reh tu uske liye yun ghamzada..

Ho sakta hai koi farishta tere aas paas..
jiske liye hai tu sabse khaas..
Vo hoga tere har khushi mein shamil..
shayad hai kahin vo abhi is bheed mein jhilmil..

ban ke ayega vo ek khoobsurat mehfil..
aur door kar dega tera ye DARD-E-DIL

dard-e-dil

koi kehta hai aashiq hame koi kehta deewana,
magar iss dil ki bechaini ko apno ne na pehchana.
apne hi dushman bane, bana dushman zamana,
dil se hame beghar kiya bana aashiyan maykhana.
ab tanhai hai sath mere yaro aur chalakta paimana,
kar liya hai khudse ye wada ki apne pyar ko hai pana.
ab to hai bas aag ka dariya, aur....
DOOB KE MUJHKO HAI JAANA..................

PYAAR KI JAAT

Zindagi ki badti gyi chahal pahal..
Aur usme bikhar gya mere sapno ka mahal,

Shauk hum mein bhi kisi raja se kam na the..
Bas yh din rani ke bin soone the,

Milegi woh mjhe bas dil me itni si aas thi..
Uske bina har pal har ghadi udaas thi,

Dhoonda use har jagah har chaubare pe..
Jaha aaj tak hamare kadam na pade the,

Aakhir dikh hi gyi woh pardanashi..
Jikse bin din mere soone the,

Ab meri raatein usko beparda,krne ki chahat me guzarna lagi..
Durr durr tak in aankhon me neend na thi,

Khuda se dua thi ki deedar kara ishq ka..
Ab to zamane ne bhi mazak bana diya h mere pyaar ka..

Ibaadat kari ki-"Itni shhidat se use chahuga..
Ki uspe aane wala har zakhm apne seene par sahuga",

Aakhir meri tapasya parwaan chadi..
Khuda ne baksh di zindagi meri,
Woh jannat ki apsara mere samne aa ke khadi..
Keh hi dala usse ki mein hu tera aur tu h meri,

Usne jhaaka meri aankho me aur dkha sachche pyar ko..
Lkin yh keh kr chali gyi ki-
"NA CHAHAT KARO MERI..
MEIN NA BAN PAUGI TERI,"
Kyuki alag alag h apne tyohar to,

Smjhaya use ki nhi hoti koi pyar ki jaat..
Shayad pahuch nhi paaye us tak mere jazbat..
Chhuda ke mere se hath,chhod gyi woh mera sath..
Fir se tanhaa tha mein,aur sooni thi yh raat......

PYAASA DIL (Pt-5)

Patthar ko mohabbat ka paath padha du..
Tere ghar ke charo taraf TAJMAHAL khade karwa du..

Tu apne chilman se to dekh..
Yeh dilwala aaya hai..

Tu apne dil ke shamiyaane me jagah to de..
Mein har taare par TERA NAAM KHUDVA DU..

Mein woh hu,
Jo patthar ko mohabbat ka paath padha du..

pyaasa dil-pt 4

Ye zaruri to nahi tum jisse mohabat karo...
vo bhi tumhe chahe..
mana dil usi ko pana chahe.
Lekin ye zindagi ki reet h, isey samajhna zaruri h..
sabki h apni marzi..na koi majburi h..
Beshaq tum ho khush kismat agar tumhari chahat tumhari h..
lekin jaane do usey agar jana chahe kyunki..
uski khushi mein zindagi tumhari h...

PYAASA DIL (Pt-3)

Humse bachke jayegi woh kaha...
Dhoond layege usko,jaye woh jaha...

Wapis to use aake,meri aagosh me h samana...
Jab tak woh na mile tab tak to chhalakne do paimana...

pyasa dil-pt 2

Lekin kya maikhane mein mere dard ko shifa milegi??
poochta h aaj ye dil..kya reh gayi kami..
kyu na samjhi vo meri aashiqui..
hai mujhe ye yaki, agar palat k dekha uski nazar ne...
to aaj bhi hai zinda vo pyar kahin na kahin...

PYAASA DIL

Woh humse durr jane lagi..

Har waqt unki kami satane lagi..

Jiyu kaise ab..
Yeh chinta jee machlane lagi..

Devdas hum to nhi,
Lkin fir bhi...

Maikhana jane ki pyaas,badne lagi...

AUR BADNE LAGI....

TOOTA TAARA....

Vo toota to hui aankhein band, laga maang lun jahan saara...
phir socha agar ho jaati sari tamannaye poori to kyu chinta aasama se uska ek pyara dulara...
kya kisi ne jana hai kyu toota phir vo pyara sitara...
vo dekho sar jhuka raha ...
toota tara...
toota tara...

COFFEE HOUSE KI VO KURSIYA..pt-2

Kya hai un kursiyon aur insano mein kuch vakfiyat??
aaj ke zamane mein ek bejaan hi jaane insaan ki asliyat...
Zindagi ki daud dhoop mein kitna kho gaya hai khuda ka banda
ki ab apno se milne ke liye khoj raha coffee house ka funda.
Phir bhi ek tasalli hai dil mein..coffee ke bahane h sahi kuch to waqt hai hamare paas..
Kuch yaadgaar ehsaas jo sanjoye hue hai vo kursiyan apne paas.
Is bhagti zindagi mein agar phir jeene ka mann kare vo haseen pal..
rukh kar lena coffee house ki taraf..
Apna saara gham bhula kar vahi hongi vo krsiyan..
apne mein samete tumhari yadon ko...
Taaza kar dengi vo yaadein...
Coffee house ki vo kursiyan..

TOOTA TAARA

Vaada kiya kisi ne lane ka taara..
La nhi paaya use woh kissmat ka maara..
Chhod gyi mumtaaz use,
Ujad gaya uska sansaar saara..

Kaise hoga ab guzara..
Yeh soch soch kar,woh matwala sudh-budh hara..

Dekh nhi paya yeh dard,woh taara bechara..
Fir milane un do dilo ko,
Fir milane un do dilo ko,
Chhod aaya woh apni duniya ko..
Aur yeh duniyawale use kehne lage,
TOOTA TAARA..
TOOTA TAARA..

Friday, October 1, 2010

COFFEE HOUSE KI WOH KURSIYA (Pt-1)

Coffee house ki woh kursiya..
Na kar paayi apne dard ko bayaa..
Din bhar logo ke vajan ko uthayaa..
Raat bhar bhi khade rehkar,
Sirf dard hi usne payaa..

Kari mashuk ne uspe,
Mashukaa se hazaroon batiyaa..
Suni usne dosto ki bhi mangadant naadaniyaa..
Fir bhi na kar paayi woh apna dard bayaa..

Aakhir kisi ko uska dhyaan aayaa..
Raat ke waqt table par use ulta sulayaa..
Sapno ka sukh kya hota hai,
Yeh aaj uski samajh me aayaa..

Coffee house ki woh kursiyaa..