Tuesday, October 26, 2010

Waqt ki karwat...

Kya karne aaye the, kin baaton mein phas kar reh gaye hain..
dekhne the naye sapne, haqiqat se ab joojh rahe hain...
Yaad hai vo ghar se bahar ek nayi duniya mein kadam rakhne ka din..
Jab thoda darr aur bahut umang thi mann mein karne ka apna sapna mumkin..
Chod aaye hum vo galiya aur hue ek nayi duniya se rubaroo...
Mile bahuton se jinke dil mein thi hamare jaisi hi aarzoo...
Lagne lagi thi ek anjaani si jagah apni si..
bane jab dost to hui thi tasalli si...

vo college ka pehla saal yaadgar rahega..
Ajnabi ho kar bhi kyu tha ek apnapan ye shayad ek raaz rahega..
Jaise guzarta gaya waqt dhund si chaane lagi..
Hue darwaze band aur tanhaiyan muskurane lagin...
Kyu ho gaye hain hum itne khud mein gumshuda...
ki jinhe kehte the dost unka gham bhi baatna bhool gaye..
yu lagta hai kisi ki khushi mein khush hue ab logo ko zamane beet gaye..


Kyu aati nahi nazar kisi ke chehre par sachchi muskurahat???
Aur jab dikhta hai apnapan to lagta hai hui hai matlab ki aahat..
kyu baandh liya hai humne khud ko itna..
ki do kadam ka faasla ban gaya hai meelon jitna...
Kya yaad hai kab aakhri baar yun hi bin matlab doston k saath muskuraye the??
Kab baithe the saath aur baaton mein ghante bitaye the...

Hain aaj jab saath tab bhi tanha hain sab..
jab tanhai hogi sirf saathi, to kiska haath thamoge tab??
Shayad nahi ehsaas abhi kya kho rahe hain hum..
Kuch laut kar na aane wale hasin palo ko yu hi gawa rahe hain hum..
Jab na hoga waqt aur saathi to tamanna hogi in palon ko vapas paane ki..
Lekin fitrat nahi beete hue waqt ki laut ke aane ki..
sanjo lo in palon ko yaaro!! ye na milenge phir dubara..
Na reh jaye afsoos phir ki ye waqt kyu na humne sawara...



2 comments:

  1. ""Aur jab dikhta hai apnapan to lagta hai hui hai matlab ki aahat..""

    mastm mast compo aur mahabhynkr lines......luvd it.........

    ReplyDelete
  2. thnx baddy!!!
    jst tried to pen down woteva i c around...

    ReplyDelete