Tuesday, October 5, 2010

zindagi ke dorahe par...

Aaj phir khada hua paya khud ko zindagi ke dorahe par..
phir se hai sawal kahan jana hai in anjaani rahon par..
Thi tasalli mann mein aur sukoonbaksh tha dil kuch palo k liye..
lekin reh reh kar fikr uthti hai aage ke safar k liye..

Lagta nahi zindagi kabhi sukkon payegi..
"ab aage kya"?? hamesha is sawaal ko dohrayegi..
Hai waqt bahut kam aur karna hai bahut kuch haasil..
Dar lagta hai is jaddojehad mein kho na jaye kahin apno ki mehfil..
Hai zaruri khud ko karna saabit is zamane mein har mod pe..
kar le yakin apni mehnat aur kismat ke meljol pe..

Beshak har insaan mein hai nayaab kuwat..
sahi waqt par ise samajhna hai sabse badi zarurat..
Aye khuda dena taufeeq karne ki sahi raah par amal..
taki hum kar sake apne khwabon ko mukammal..

kabhi lagta hai choo lenge aasma aur likh denge naam har sitare par...
lekin kashmakash mein ghir jaate hain zindagi ke dorahe par..
zindagi ke dorahe par...

3 comments: